Khula hai sabhi kay liye baab-e-rehmat
Wahan koi rutbay main adna na aali
Muradon kay daman nahin koi qaali
Qatarraein lagaye khaday hain sawali
Main pehlay pehal jab madeenay gaya tha
To thi dil ki halaath tadap janay waali
Wo darbaaar such mooch meray saamnay tha
Abhi tak tasavvur tha jis ka qayali
Main ek haath say dil sambhalay huaye tha
To thi doosray haath main un (saw) ki jaali
Dua kay liye haath uth thay to kaisay
Na yeh haath qaali, na woh haath qaali
Jo poocha hai tum nay kay main nazar karnay
to kya le gaya tha to tafseer sun lo
halatoon ka ek haath, ashkoon kay mooti
duroodan ka gajra, salahoon ki daali
Dhani apni qismat hai to wahi hai
Dayar-e-nabi jis nai aankhon say dekha
Muqaddar hai sachcha muqaddar usi ka
Nigah-e-karam jis par aaqa nai daali
No comments:
Post a Comment