Monday, March 21, 2011

Ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N



ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N 
yaad kyaa tujh ko dilaaye.N teraa paimaa.N jaanaa.N

[tajdiid=renewal; imkaa.N=possibility]
[jaanaa.N=dear one/beloved; paimaa.N=promise]

yuu.N hii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai
kis qadar jald badal jaate hai.n insaa.N jaanaa.N

zindagii terii ataa thii so tere naam kii hai
ham ne jaise bhii basar kii teraa ehasaa.N jaanaa.N

[ataa=given by; basar=to live; ehasaa.N=favour]

dil ye kahataa hai ki shaayad ho fasurdaa tuu bhii
dil kii kyaa baat kare.n dil to hai naadaa.N jaanaa.N

[fasurdaa=sad/disappointed]

avval-avval kii muhabbat ke nashe yaad to kar
bepiye bhii teraa cheharaa thaa gulistaa.N jaanaa.N

[avval-avval=the very first]

aaKhir aaKhir to ye aalam hai ki ab hosh nahii.n
rag-e-miinaa sulag uThii ki rag-e-jaa.N jaanaa.N

[rag=veins; miinaa=wine-holder; jaa.N=life]

muddato.n se ye aalam na tavaqqo na ummiid
dil pukaare hii chalaa jaataa hai jaanaa.N jaanaa.N

[muddat=awhile; tavaqqo=hope]

ham bhii kyaa saadaa the ham ne bhii samajh rakhaa thaa
Gam-e-dauraa.N se judaa hai Gam-e-jaanaa.N jaanaa.N

[Gam-e-dauraa.N=sorrows of the world]

ab kii kuchh aisii sajii mahafil-e-yaaraa.N jaanaa.N
sar-ba-zaanuu hai ko_ii sar-ba-girebaa.N jaanaa.N

[sar-ba-zaanuu=forehead touching the knees]
[sar-ba-girebaa.N=lost in worries]

har ko_ii apanii hii aavaaz se kaa.Np uThataa hai
har ko_ii apane hii saaye se hiraasaa.N jaanaa.N

[hiraasaa.N=scared of]

jis ko dekho vahii zanjiir-ba-paa lagataa hai
shahar kaa shahar huaa daaKhil-e-zindaa.N jaanaa.N

[zanjiir-ba-paa=feet encased in chains; zindaa.N=prison]

ab teraa zikr bhii shaayad hii Gazal me.n aaye
aur se aur huaa dard kaa unvaa.N jaanaa.N

[unvaa.N=start of chapter/title]

ham ki ruuThii hu_ii rut ko bhii manaa lete the
ham ne dekhaa hii na thaa mausam-e-hijraa.N jaanaa.N

[mausam-e-hijraa.N=season of separation]

hosh aayaa to sabhii Khvaab the rezaa-rezaa
jaise u.Date huye auraaq-e-pareshaa.N jaanaa.N

[rezaa-rezaa=piece by piece; auraaq-e-pareshaa.N=strewn pages of a book]

is qadar musal_sal thii.n shiddate.n judaa_ii kii



is qadar musal_sal thii.n shiddate.n judaa_ii kii 
aaj pahalii baar mai.n ne us bevafaa_ii kii

[musal_sal=continuous; shiddat=severity]

varanaa ab talak yuu.N thaa Khvaahisho.n kii baarish me.n
yaa to TuuT kar royaa yaa Gazal_saraa_ii kii

[Khvaahish=desire/wish]

taj diyaa thaa kal jin ko ham ne terii chaahat me.n
aaj un se majabuuran taazaa aashanaa_ii kii

[taj denaa=to abandon; aashanaa_ii=love/form relationships]

ho chalaa thaa jab mujh ko iKhtilaaf apane se
tuune kis gha.Dii zaalim merii ham_navaa_ii kii

[iKhtilaaf=difference of opinion; ham-navaa_ii=friendship]

tanz-o-taanaa-o-tohamat sab hunar hai.n naaseh ke
aap se ko_ii puuchhe ham ne kyaa buraa_ii kii

[tanz=satire; taanaa=taunt; tohamat=allegation; naaseh=preacher]

phir qafas me.n shor uTThaa qaidiyo.n kaa aur sayyaad
dekhanaa u.Daa degaa phir Khabar rihaa_ii kii

[qafas=cage/prison; sayyaad=hunter]

qurbato.n me.n bhii judaa_ii ke zamaane maa.Nge



qurbato.n me.n bhii judaa_ii ke zamaane maa.Nge 
dil vo bemehar ki rone ke bahaane maa.Nge

apanaa ye haal ke jii haar chuke luT bhii chuke
aur muhabbat vahii andaaz puraane maa.Nge

ham na hote to kisii aur ke charche hote
khalqat-e-shahar to kahane ko fasaane maa.Nge

dil kisii haal pe maane hii nahii.n jaan-e-'Faraz'
mil gaye tum bhii to kyaa aur na jaane maa.Nge

Tum bhi Khafaa ho log bhii beraham hai.n dosto



tum bhi Khafaa ho log bhii beraham hai.n dosto 
ab ho chalaa yaqii.n ke bure ham hai.n dosto

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa kare.n
aa.Nkhe.n to dushmano.n kii bhii pur_nam hai.n dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apanii talaash me.n to ham hii ham hai.n dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraaG bhii maddham hai.n dosto

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil kii raunaqe.n bhii ko_ii dam hai.n dosto

sab kuchh sahii 'Faraz' par itanaa zaruur hai
duniyaa me.n aise log bahut kam hai.n dosto