Thursday, March 31, 2011

Ash'aar

Ta'ajjub hai teri gehri mohabbat pay faraz
Wo teri rooh main basa hai aur tu uskay vehm-o-guman main bhi nahin.

--------------

Jo hukum deta hai vo iltija bhi karta hai
ye aasmaan kahin per jhuka bhi karta hai

main apni haar pe naadim iss yakeen ke saath
ke apne ghar ki hifazat khuda bhi karta hai

tu bewafa hai to le ek buri khabar sunn le
ke intazaar mera dusra bhi karta hai

---------------

Aay umr-e-rawan zara Aahista Chal .....
Kuch khawab hain jin ko likhna hai
Tabeer ki soorat deni hai
Kuch loag hain ujry dil waly
Jinhain apni muhabbat se abad karna hai
Kuch phool hain jin ko chunna hai
Aur haar ki soorat deni hai
Kuch apni nend(sleep) baqi hai!
Jisy bantna hai kuch logun main
Un ko b tu rahat deni hai
Aay umr-e-rawan
Aahista chal
Abhi khasa qerz chukana hai….

-------------------


Bad-Naam Huwe Hum Shehar Main Jis Ke Wajha Sai...

Qasam Sei Us Shakhas Ko Kabhi Hum Nai Jee Bhar K Dekha B Nahi.!

-------------------


Woh Aur Hongy Jo Duniya Main Pur Musarat Hain..!

Mera Tou Ghum Bhi Na Dekha Gaya Zamane Sy..!

------------------


‎'GHAFIL TERI YADON SE HUA MAIN TU NAHI THA,
TU THA HI JUDA TUJH SE JUDA MAIN TU NAHI THA,
JAA TU MERI GUFTAR K QABIL HI NAHI HAI,
YE LAFZ KABI KEH K GIYA MAIN TU NAHI THA,
BESAKHTA GHABRA K PUKARA THA KISI KO,
SOCHO TERY HOTON KI SADA MAIN TU NAHI THA,
KOI TU MERAY JURM KI TAFSEEL BATA DE,
AYE DOST TERAY HAQ MEIN BURA MAIN TU NAHI THA,
TAQDEER KA LIKHA HUA PAYA HAI SABHI NE
THA JO BHI MAGAR TERA KHUDA MAIN TO NAHI THA....!!

--------------------

Shikast o fatah naseebon se hai ay Meer ...
Muqabla tou dil e natwan ne khoob kiya..


----------------------


Apna dil apni tabahi ka sabab hota hai
Yeh Muhabbat ka zamana b ajeeb hota hai
Kon c baat ney kis shakhs ka dil tor diya
Bolney waley ko ehsas hi kab hota hai..


-----------------------


Ana Ki Baat Hai, Warna Mohabbat Ab Bhi BaaQi Hai
Usey Meri Mujhey Uski, Zaroorat Ab Bhi BaaQi Hai

Koi Mushkil Agar Darpesh Aaye, Laut Aana Tum
Tumhare Wastey Dil Mein, Aqeedat Ab Bhi BaaQi Hai

Bala Ki Sard-Mehri Hai, Meri Har Baat Mein Lekin
Mere Seeney Mien Chahat Ki, Hararat Ab Bhi BaaQi Hai

------------------------