Sunday, February 6, 2011

Aaj ka momin

Duhqan to mar hi gaya ab kis ko jagaoon!
Ugta hi nahin khosha e Gundum ki jalaoon!!
Shahin ka to hai Gumbad e Shahi pe basera!
Kanjashk fard maya ko ab kis se laraoon!!

Duba hai donge mein, Kahin Qab mein Gum hai!
Hotel ke kisi gosha e beKhwab men Gum hai!!
Gum jis men hua karta tha Afaq wo Momin!
Mendhak ki tarah ab kisi talab men Gum hai!!

Har darhi men Tinka hai, Har ek aankh men Shehtir!
Momin ki nigahon se badalti nahin Taqdeer!!
Tauheed ki talwaron se khali hai nyamen!
Ab Zauq e Yaqin se nahin kat-ti koi Zanjir!!

Shahin ka jehan aaj mamule ka Jehan hai!
Milti hui Mulla se Mujahid ki azan hai!
Mana ke Sitaron se bhi aage hain jahan aur!
Shahin men ab Taqat e Parwaz kahan hai!!

Bahta hai ilaqai ta'ssub ka wo dhara!
Nafrat ko janm deta hai har khet hamara!!
Iqbal ne jis mitti ko Zarqhez kaha tha!
Woh aaj zara nam ho to ban jati hai Gara!!

Be baki wa Haq goi se sharmata hai Momin!
Makkari wa Rubahi par itrata hai Momin!!
Jis rizq se parwaz mein Kotahi ka dar ho!
Woh Rizq bare shauq se ab Khata hai Momin!!

Makkari wa Ghaddari wa Ayari wa Hijan!
Banta hai ab in char Anasir se Musalman!!
Qari use kehna to bari baat hai yaro!
Us ne to kabhi khol ke dekha nahin Qur'an!!

Paband nahin khubi e A'mal ka Momin!
Qayal nahin is taur ke Janjal ka Momin!!
Sarhad ka hai Momin, koi Bangal ka Momin!
Milta nahin ab dhoonde se 'Iqbal' ka Momin!!

No comments:

Post a Comment